Zameen Ke Aansu – Episode 2 | Hania Ka Raaz, Dhoka aur Nayi Zindagi Ka Safar
Zameen Ke Aansu – Episode 2
Writer: Saadia Kashif
"Maa... maa mujhe chhor kar mat jao please maa... main mar jaungi tumhare bina... Khuda ke liye mat jao maa..."
Hania achanak cheekh kar uthi. Mumtaz Begum foran uth kar uske paas aayi.
"Kya hua Hania beta? Koi darawna khwab dekha?"
Hania bohat dari hui thi. Uska chehra paseene se bheega hua tha aur aansu rukne ka naam nahi le rahe the.
"Aunty mujhe roz ek hi khwab aata hai. Ek chehra aata hai mere khwab mein... main roz use dekhne ki koshish karti hoon lekin dekh nahi pati. Bas use maa ke naam se pukarti hoon."
"Maine apni maa ko kabhi nahi dekha. Jab bhi baba se poocha unhone hamesha baat taal di. Woh kehte the tumhari koi maa nahi hai. Lekin main nahi maanti... mujhe lagta hai meri maa bhi mujhe yaad karti hogi."
Hania rote hue boli, "Jab main doosri betiyon ko unki family ke saath dekhti hoon na, mera dil tarpta hai. Kaash mujhe meri maa ke baare mein kuch pata chal jaye."
Mumtaz Begum ne uske aansu saaf karte hue kaha, "Main Allah se dua karungi ke tumhe tumhari maa mil jaye."
Subah Ka Manzar
Aaj Mumtaz Begum ke ghar mein Hania ki pehli subah thi. Woh uthi, baal baandhe aur bahar jaane lagi ke uske qadam ruk gaye.
Usne Mumtaz ko ek aadmi ke saath dekha jo use paise de raha tha.
"Jaise tumne kaha tha maine waise hi kiya. Ladki ko bharose mein liya hai," Mumtaz keh rahi thi.
Hania ne sab kuch sun liya. Uska dil toot gaya. Use pata chal gaya ke Mumtaz bhi un logon ke saath mili hui hai.
Woh bhaag kar wapas kamre mein chali gayi.
Thodi der baad Mumtaz ne awaaz di, "Hania beta uth jao, nashta kar lo."
Hania ne apne jazbaat par qaboo paaya aur bahar aayi. Mauka dekh kar usne paas pada chaku uthaya.
"Khabardaar mere paas mat aana. Main sab jaan chuki hoon!"
Usne Mumtaz ko kamre mein band kiya aur wahan se bhaag nikli.
Bhagti Hui Zindagi
Hania ko samajh nahi aa raha tha ke kahan jaye. Lahore ke shehar mein har taraf us gunday ke aadmi the.
Usne faisla kiya ke use shehar chhorna hoga.
Woh railway station pahunchi aur himmat karke train mein baith gayi.
Train tez raftaar se chalne lagi aur uska dil bhi utni hi tezi se dhadakne laga.
Kuch der baad train Islamabad station par ruki. Hania ne Allah ka naam liya aur neeche utar gayi.
Ab use nayi zindagi shuru karni thi.
Uske paas paise nahi the aur bhook bhi lagi thi. Woh ek canteen mein gayi aur sandwich liya.
"Bhai sahab mera purse chori ho gaya hai," usne jhijakte hue kaha.
Woh aadmi kuch dair use dekhta raha phir bola, "Jao, baith kar kha lo."
Lekin Hania uski niyat samajh gayi aur wahan se nikal aayi.
Ab woh Islamabad ki anjaan sadkon par akeli chal rahi thi. Suraj dhalne laga tha aur use samajh nahi aa raha tha ke uski manzil kya hogi.
Jari...
Na jaane Hania ki zindagi mein ab kaunsa naya mod aane wala hai? Kya woh apni manzil tak pahunch payegi ya koi nayi museebat uska intezar kar rahi hai? Janne ke liye intezar kijiye agle episode ka.
Comments
Post a Comment