aye sabz gumbad wale naat lyrics in english

     Aye Sabz Gumbad Wale Lyrics     



Ay sabz gumbad waly manzoor dua karna

Jab waqt e naza ay deedar ataa karna


اے سبز گنبد والے منظور دعا کرنا

جب وقت نزع آئے دیدار عطا کرنا


Ay Noor e Khuda aa kar ankhoon mein samaa jana

Ya dar py bula lena ya khawab main aa jana

Ay parda nasheen dil ky pardy mein raha karna

Jab waqt e nazah ay deedar aata karna


Ay sabz gumbad waly manzoor dua karna

Jab waqt e naza ay deedar ataa karna


Main qabar andheri main ghabraon ga jab tanha

Imdaad meri karny aa jana mery aaqa

Roshan meri turbat ko ay noor e Khuda karna

Jab waqt e nazah aaye deedar ataa karna


Ay sabz gumbad waly manzoor dua karna

Jab waqt e naza ay deedar ataa karna


Mujrim hon jahaan bhar ka mehshar main bharam rakhna

Rusva e zamana hun daman main chupa laina

Maqbool yeh arz meri lillah zra karna

Jab waqt e nazah ay deedar ataa karna


Aie sabz gumbad walay manzoor dua karna

Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna


Chehry se ziya paee in chand sitaaron ne

Uss dar say shifa paee dukh dard kay maaroon ney

Aataa hai unhein sabir har dukh ki dwa karna

Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna


Ay sabz gumbad waly manzoor dua karna

Jab waqt e naza ay deedar ataa karna


Mehboob Ilaahi sa koyi na haseen dekha

Ye shaan hai inki k saaya bhi nahin dekha

Allah nay saaye ko chaha na judah karna

Jab waqt e naza aye deedar ataa karna


Ay sabz gumbad waly manzoor dua karna

Jab waqt e naza ay deedar ataa karna

Comments

Popular posts from this blog

Zameen Ke Aansu – Episode 14 | Writer: Saadiya Kashif

Zameen Ke Aansu – Episode 2 | Hania Ka Raaz, Dhoka aur Nayi Zindagi Ka Safar

Aa Meda Dhola Karan Bethi Zari Naat Lyrics | Kalam Khwaja Ghulam Fareed RA | ﺁ ﻣﯿﮉﺍ ﮈﮬﻮﻻ ﮐﺮﺍﮞ ﺑﯿﭩﮭﯽ ﺯﺍﺭﯼ